Arre, Par tum kaun ho!
Arre buddhu, mein tera baap hun.
Jab tak zinda hun, tab tak tere saath hun,
mein woh hun. Arre buddhu, mein tera baap hun.
Jiska khun teri rago mein hai, jo har dum tujhe sheeshe mein nazar aata hai,
mein woh hun...
Jiski photocopy banke tu nikla hai, jiske naak, kaan, munh aur akal leke tu janma hai,
mein woh hun...
Jispe tera haq hai, jiska tere pe haq hai,
mein woh hun...
Jiski tu jab bhi koi cheej leke jaata hai, mann he mann khil khila utha hai woh,
mein woh hun...
Jo tere liye 140 crore to kya, 140 hazaar crore se bhi lad jaye,
mein woh hun...
Jiski har dua yahi kehti hai ki, ke meri umar tujhe lag jaaye,
mein woh hun...
Puri duniya se bhi upar jo tere liye hai,
mein woh hun...
tere liye kisi bhagwan se kam nahi hun,
mein woh hun...
Shayad tera iklauta dost, tera pehla aur aakhri dost,
har dost se pehle wala dost aur har dost ke baad wala dost,
mein woh hun...
Jisko tu papa ki jagah popa, shopa, chopa, topa , kuch bhi bol le, koi fark nai padta,
mein woh hun...
Jiske liye teri hansi se badke kuch nahi, tere aansuon ke ghum se bada koi ghum nahi,
mein woh hun...
Jo itne saalo se idhar udhar chakkar laga raha hun, jo har pal tere bina marta chala ja raha hun,
mein woh hun...
Jo aankhon mein aansu liye, court ki tareekho mein fanske, umeed ki aakhri dhaage ko pakde hue hu,
mein woh hun...
Jo tere dushmano ko bhaanp raha hai, maap raha hai, ki kahin kabristan chota na pad jaaye,
mein woh hun...
Jo tere har jeet se atma se khush hota hai, jo tere haarne ko soch kar bhi darr jata hai,
mein woh hun...
bus itna sa alag hun baki sab se, bhagwan ka ek tohfa hu tere liye,
mein woh hun...
arre buddhu, mein tera baap hu.
arre mitthu, mein tera baap hu.
arre photocopy, mein tera baap hu.
pyaare mithu, mein tera baap hu.
Aur ab tu bata, tu kaun hai, mujhe to lagta hai tu uske ghar se nahi aaya,
tu khud he apna ghar chodke aaya hai, mujhe ullu banane aaya,
par mein bhi tera baap hu,
arre samajhdaar, mein tera baap hu.
-Written with the ink of blood and tears of soul.
Comments
Post a Comment