Posts

Showing posts from January, 2024

Arre, Par tum kaun ho!

 Arre buddhu, mein tera baap hun. Jab tak zinda hun, tab tak tere saath hun,  mein woh hun. Arre buddhu, mein tera baap hun. Jiska khun teri rago mein hai, jo har dum tujhe sheeshe mein nazar aata hai, mein woh hun... Jiski photocopy banke tu nikla hai, jiske naak, kaan, munh aur akal leke tu janma hai, mein woh hun... Jispe tera haq hai, jiska tere pe haq hai,  mein woh hun... Jiski tu jab bhi koi cheej leke jaata hai, mann he mann khil khila utha hai woh, mein woh hun... Jo tere liye 140 crore to kya, 140 hazaar crore se bhi lad jaye, mein woh hun... Jiski har dua yahi kehti hai ki, ke meri umar tujhe lag jaaye, mein woh hun... Puri duniya se bhi upar jo tere liye hai, mein woh hun... tere liye kisi bhagwan se kam nahi hun, mein woh hun... Shayad tera iklauta dost, tera pehla aur aakhri dost,  har dost se pehle wala dost aur har dost ke baad wala dost, mein woh hun... Jisko tu papa ki jagah popa, shopa, chopa, topa , kuch bhi bol le, koi fark nai padta, mein woh hu...